Showing posts with label Urdu. Show all posts
Showing posts with label Urdu. Show all posts

Sunday, May 22, 2011

"The Bitter Truth of Life"

Tukdon mein basi zindagi ko taaqon mein sawar loon...
Ghame dil ke bojh taley khushi ki maiyyat saja to loon...


Moiyattar hain aansuon se chiraghe chashm mere...
Hasrat hai ke iss janazey se ek hansi chura to loon...


Bheegi hai ashkon se ye udaas palken meri...
Phir bhi muskurahat ko hothon se laga to loon..


Dekhe jo zamana woh sach nahi hai doston...
Haale-dil beyan karke pannon pe utaar to loon...


Fursat hai gar kisiko iss daur mein aye Sadia...
Nazron se hum unko daastan suna to loon...

{Just tried to write in tough Urdu...
Hope you'll understand what is the meaning of these lines. }
Thanks for reading.... love ya...  :)

Thursday, March 31, 2011

Aye Dil Tu Pareshaan Kyun Hai...


Aye dil tu pareshaan kyun hai...
Iss jahan mein gham aur bhi hai...
Utha le haath khuda ki bandagi mein...
Kar le sabr iss imtehaan ki ghadi mein..

Kai bewafa saath chod jaate hain..
Koi masoomyat ka faida uthate hain...
Milegi khushi zaroor tujhe rahon mein...
Samet lena unhen apni baahon mein...

Ghabra kar na karna ghalat faisla...
Himmat se hamesha kaam lena..
Chamkega ek din zaroor tera sitara...
Dekhegi duniya tab ye nazara...

Rakh hausla ek din tera zaroor ayega...
Qadr karegi teri ye kaayenaat...
Aur khuda bhi tujh pe rashk khayega..
Tabhi tu Allah ka nek banda kahlayega...

{this poem is written by me..thanks for reading..}
luv u all :)

Friday, August 27, 2010

Classes for Kids, Girls and Ladies

Hello Friends!!

Classes/lessons in the following fields at very nominal fee --

*  Art and Craft.
*  Needle work.
*  Homemade Cakes and Desserts.
*  Urdu - Learn to read and write.
*  Quran Sharif - Learn how to read and recite Quran Sharif.
*  Basic Computer and Internet Knowledge for Housewives/Ladies.

These classes are only for people living in Chandigarh and Mohali.
If interested, contact me through my email ID -- sadia.talat@gmail.com
Mention your name, contact no. and the course you want to join in the mail.

Thanks.
Luv u all :)

Sunday, January 17, 2010

My Childhood Memories...

Bahut yaad aate hain bachpan ke woh din.. :)
jab rehte thy saath hum saare bhai-bahan..
woh ghar ke aangan mein sabke saath khelna..
aur woh chuttiyon mein Fauzia, Akku ka aana..
woh Asif bhaiya ke saath shararat karna..
woh Ammi ka daantna aur Abba ka samjhana..
baat-baat pe hum sabka ladna-jhagadna..

kitne pyare thy bachpan ke woh din..
bahut yaad aate hain bachpan ke woh din..

Woh garmi ki dopahar mein chhaton pe khelna..
woh bhaiyon ke saath mera patang udana..
woh chess aur carrom ke muqable rakhna..
aur woh haarne pe Arif bhaijaan ka board ulatna.. :D
woh takiyon (pillow) se ek doosre ko maarna..
khoob halla machana aur hansna - hasaana..

kitne pyare thy bachpan ke woh din..
bahut yaad aate hain bachpan ke woh din..

Woh exam ke waqt humara serious ho jaana..
aur chupp-chupp kar shararat bhi karna..
woh Bhaijaan ka kitabon ke beech novel rakhkar padhna..
woh unka dheere-dheere se khul-khulakar hansna..
Tariq bhai, Shannu apa ke ghar baar-baar jana..
woh Badi Ammi ke haanthon ki chai peena..

kitne pyare thy bachpan ke woh din..
bahut yaad aate hain bachpan ke woh din..

Arshi, Munna, Babu, Chikki ka hamesha saath khelna..
woh Arshi ka Munna se 'launde ko maarne' ko kehna..
kitne masoom aur befikr hote thy woh din..
Ammi-Abba ke saaye taley rehte thy jab hum..
yaad aati hain school-college ki saari saheliyan..
humara woh ghar aur Patna ki galiyan..

kitne pyare thy bachpan ke woh din..
bahut yaad aate hain bachpan ke woh din.. :)