Tukdon mein basi zindagi ko taaqon mein sawar loon...
Ghame dil ke bojh taley khushi ki maiyyat saja to loon...
Moiyattar hain aansuon se chiraghe chashm mere...
Hasrat hai ke iss janazey se ek hansi chura to loon...
Bheegi hai ashkon se ye udaas palken meri...
Phir bhi muskurahat ko hothon se laga to loon..
Dekhe jo zamana woh sach nahi hai doston...
Haale-dil beyan karke pannon pe utaar to loon...
Fursat hai gar kisiko iss daur mein aye Sadia...
Nazron se hum unko daastan suna to loon...
{Just tried to write in tough Urdu...
Hope you'll understand what is the meaning of these lines. }
Thanks for reading.... love ya... :)

4 comments:
aunty i tried....
thoda thoda hi aya smjh....:((
n acha likha h....
gud gng....:)))
thanks...agar samajhna hai to...i can explain...
acha likah hai, keep it up
shukriya... :)
Post a Comment