Thursday, March 31, 2011

Aye Dil Tu Pareshaan Kyun Hai...


Aye dil tu pareshaan kyun hai...
Iss jahan mein gham aur bhi hai...
Utha le haath khuda ki bandagi mein...
Kar le sabr iss imtehaan ki ghadi mein..

Kai bewafa saath chod jaate hain..
Koi masoomyat ka faida uthate hain...
Milegi khushi zaroor tujhe rahon mein...
Samet lena unhen apni baahon mein...

Ghabra kar na karna ghalat faisla...
Himmat se hamesha kaam lena..
Chamkega ek din zaroor tera sitara...
Dekhegi duniya tab ye nazara...

Rakh hausla ek din tera zaroor ayega...
Qadr karegi teri ye kaayenaat...
Aur khuda bhi tujh pe rashk khayega..
Tabhi tu Allah ka nek banda kahlayega...

{this poem is written by me..thanks for reading..}
luv u all :)