Saturday, March 20, 2010

Maa...

Hum bachpan mein maa ko bahut pareshaan kar dete hain,
lekin woh humse kabhi khafa nahi hoti...
Baad mein jab apni galati ka ehsaas hota,
phir lagta hai ki maa itni achhi kyun hoti hai...
shaayad isliye kisi ne sahi kaha hai ki khuda her jagah
har waqt nahi reh sakta,isliye unhone maa bana dii...

Jagjit Singhji ki yeh ghazal mujhe bahut pasand hai,
app sabko bhi pasand aayegi...

Maa…

Maa sunao mujhe woh kahaani,
Jisme Raja na ho, na ho Raani….

Jo humaari tumharii katha ho,
Jo sabhi ke hriday ki vyatha ho…
Gandh jisme bhari ho dharaa ki,
Baat jisme na ho apsara ki,
Ho na pariyaan jahaan aasmaani…

Maa sunao mujhe woh kahani
Jisme Raaja na ho, na ho Raani…

Woh kahaani jo hansana sikhaa de,
Pet kii bhookh ko jo bhula de…
Jisme sach ki bhari chaandni ho,
Jisme umeed ki roshni ho,
Jisme na ho kahaani puraani…

Maa sunao mujhe woh kahani
Jisme Raaja na ho, na ho Raani…

luv u all :)

No comments: